Ibn-e-Maryam agar nahi hota
dukh ka marham mayassar nahi hota!
Hoti hi nahi jabh shifa ki ummeed ..
Dard-e-wafaat pur-asar nahi hota!
Daulat ki agar pyas nahi hoti
shohrat ki agar aas nahi hoti!
Zaalim ke haath khanjar nahi hota
mazloom ka kata sar nahi hota!
Duniya ka yeh nizaam nahi hota
koi maalik, koi ghulaam nahi hota!
Zindagani ki shatranj par….
koi nakaam, koi zafar nahi hota!
Khaliq agar chupa nahi hota
maqlooq se juda nahi hota!
Ek jhalak bhi agar dekh le banda…
uske wajood se bekhabar nahi hota!
Rooh agar mehmaan nahi hoti
zindagi phir meharbaan nahi hoti!
Takleef na hoti ba-waqt ke marg
dard-e-hijraan is khadar nahi hota!
Yaadon ka agar saya nahi hota
chahat ka sarmaaya nahi hota!
Zindagi yoon veeran nahi hoti
dasth-e-tanha safar nahi hota!
