August 2006


 Zeenu

Meri jaan-e-jigar, ab meri nazar ke saamne hai
Meri laqt-e-jigar, ab meri nazar ke saamne hai

Jiske deedar ki hasrat mein mai kabse tha bechain
woh shaam-o-sahar, ab meri nazar ke saamne hai

Jis raah par chalne ki sadiyon se thi aarzoo-ein
aisi hi raah-guzar, ab meri nazar ke saamne hai

Log milte hai bichad jaate hai zindagi ki raahon par
zaar-e-humsafar, ab meri nazar ke saamne hai

Kya chand? kya suraj? kya taaron ki kashish?
kehkashaan-aftaab-o-qamar, ab meri nazar ke saamne hai

sadaa arsh par pahunch gayi, abh khudko kyon tanha kahoon?
meri duaon ka asar, ab meri nazar ke saamne hai

Woh gulshan-e-baagh-o-bahaar bhulaaon kaise
woh nikhat-e-zulf-e-nigaar… bhulaaon kaise

Woh raat ke sannaton mai taroon ko taakna
woh dard-e-dil-e-bimaar… bhulaaon kaise

Woh jo uski gali se guzar aati thi aksar
woh baad-e-sabaa beqaraaar… bhulaaon kaise

Woh intezaar mein kaata hua ek ek lamha
woh dard-e-jaan-e-zaar… bhulaaon kaise

Woh dil ki dhadkano ka ruk ruk ke chalna
woh saans-e-sogavaar… bhulaaon kaise

Woh jo bhari mehfil mai bhi tanha dikhaai de
woh mehboob-e-jaan-nisaar…bhulaaon kaise