Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai
sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai
Jabh talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho
kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai
Gham nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka
takleef hoti hai jabh koi apna khafa ho jaata hai
Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin
dar-e-dil ek hadh ke baad dard-e-dawa ho jaata hai
Hara bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai
khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai
Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai
kuch der milte hai humraahi,phir aadmi tanha ho jaata hai
April 21, 2007 2:08 pm at 2:08 pm
hota hai gham ka aalam jab
dil hi humaara dushman ho jaata hai
umeed chodh deti hai daaman humaara
zehar aab-e-hayat ho jaata hai
dil-e-rusva hara bhara hai
aksar yeh ghumaan auron ko ho jaata hai
hum kya shikwa karein insaan se jab
ek nukhde ke pher sei khudah judaa ho jaata hai
May 7, 2007 11:28 pm at 11:28 pm
Wo bhi tanha, mein bhi tanha,
bhir mein har shaqs tanha;
Raat ke aagosh mein,
Kat ta hai ab waqt tanha.
Ungliyon ko yaad hai wo,
uske haatho ki chuuan;
Dhund ke chhat jaane pe.
Dekha apna haath tanha
http://madhyantar.blogspot.com/search?q=tanha
May 9, 2007 3:26 pm at 3:26 pm
Na tum tanha, na mai tanha!
Na tum tanha, na mai tanha!
Is jahan mein charo taraf..
har cheez tanha, har shai tanha!
Is kainaat ko banaane waala..
khuda khud bhi to hai tanha!
Na tum tanha, na mai tanha!
Na tum tanha, na mai tanha!
May 10, 2007 2:12 pm at 2:12 pm
saaz tanha, awaaz tanha,
uske bin parwaaz tanha
uske dil ko kya pata hai,
mere dil ke raaz tanha
kaise kar payenge ab,
ek naya aagaaz tanha.
June 15, 2007 7:07 pm at 7:07 pm
Is kadar jo tum sochoge
Jaane kaise ji paaoge
Waise to har insaan tanha
Par tanha rahke kya ukhaad paaoge
Ye zindagi itni chhoti hai
Ki tum tanha nahi mar paaoge
Aaj jiski yaad mein soye
Kal usi ko khud bhool jaaoge
Bhool gaye tum khud magar
Tanha hone ka gum jataaoge
Khud tumne nahi ki jo tamanna
To doosre ki kya jaan paaoge
Buss Tanhaai ki aad mein
Sabko doshi tum theh raaoge
Main to hoon ik ajnabee
Jise tum jaan na bhi nahi chaahoge
Par tanha raho na is kadar
Warna khud tanhaai kehlaaoge
June 15, 2007 7:31 pm at 7:31 pm
Bewafa ko tumne chaaha, aur chaahat ko bewafai bana daala
Sar bhi waha jhukaya ki khudaai ko badal daala
Jab tak thi saath chalne ki talab, humsafar samjha
Mann jab oob gaya to kambakht humein doosra bana daala
Badal gaye the tum is kadar ki khafa hue hum
Aur zamaane ke saamne khud ko takleef mein bata daala
Dar-e-dil bhi dard-e-dawa ho jaaye par
Tumhaari yaad ne ise jaan leva bana daala
Patta patta juda hua, kyunki wo khizaan ke din the
Par agli bahaar ki umeed ko tumne naamumkin kyu bana daala
Tumne jise sachchaai kaha, haqiqat kaha – sab dhokha hai
Intezaar nahi kar paaye aur tanhaai ko dastoor-e-zindagi bana daala
July 30, 2007 2:56 pm at 2:56 pm
asssalam|w|kum
aap shair both acha laga mujae .aur koi shair raito mujea mail karna
allafiz
August 4, 2007 10:37 am at 10:37 am
Aslam -o- Alaikum,
App ki shairy ki kya baat hia, buhat dill ko chogai , kya baat hia app ki shairy ki plz keep it up dear