Dil ki dhadkan hai, janasheen hai, damsaaz hai tu

Teri ragon mein lahoo bankar mai daodoonga
tere kismath ki lakheeron ko mai seechoonga
Meri duaaon se tu umr-e-daraaz paayega
mera khoon hai tu, mere andaaz laayega
Meri pechaan ki nayi kahani hai, naya aghaaz hai tu
Dil ki dhadkan hai, janasheen hai, damsaaz hai tu

Jee chahta hai ke tujhpar jaanisaar ho jaaon
tera humsaya ban jaaon, tera rahbar ho jaaon
Mai chahta hoon ke tu inti unchi udaan ude
chand sitaaron tak pahunche, tu asmaan chue
Mere khwaabon ko haqeeqat karde,meri parwaaz hai tu
Dil ki dhadkan hai, janasheen hai, damsaaz hai tu

Ek din jabh mai is duniya se rukhsat ho jaaonga
rooh cheen jaayegi meri, ehle-turbat ho jaaonga
Mere liye taaq raaton pe tu raat bhar jaagega
apne khuda se meri maghfirat ki dua maangega
arsh tak pahunchne waali meri sadaa hai, awaaz hai tu
Dil ki dhadkan hai, janasheen hai, damsaaz hai tu

Meri dua hai tujhpar musibat ka koi ghiraao na ho
zindagi mein tujhpar koi rukavat, koi tehraao na ho
Khuda na kare, koi aafat agar aa jaaye kabhi
raah chalte agar khud ko tu tanha paaye kabhi
Itna yaad rakh ke mera jaanbaaz hai, maaz hai tu
Dil ki dhadkan hai, janasheen hai, damsaaz hai tu