Samajh mein nahi aata ke tu kya chahta hai
wafa chahta hai ya tark-e-wafa chahta hai
Tu khud bhi jalega mujhe bhi raakh kar dega
kyon bujhte hue sholon ko hawa chahta hai
Zaher deta hai aur peene se mana karta hai
dard chahta hai ya dard-e-dawa chahta hai
Yeh sonchta hoga ke mai kin halaat mein hoon
tabhi aaj mere kuuche ka pata chahta hai
Jaanta hoon ke tu eteraaf na karega lekin
meri gardishon mein tu lutf-o-mazaa chahta hai
Wafa paraston ko kyon na mai agaah kardoon
bewafa bhi yahan badle mein wafa chahta hai
Kyon dosh deta hai kisiko jo tu aaj tanha hai
Wohi hota hai duniya mai jo khuda chahta hai