Uncategorized


Kab ho gai zindagi ki shab, kuch samajh nahi aaya
rukhsat ho gaye duniya se kab, kuch samajh nahi aaya

Sabki thi fikar-o-fugaan, sabse thi adavat-e-nihaan
unki is fitrat ka sabab, kuch samajh nahi aaya

Umr saari guzaar gaye yoon jid-o-jahad main woh
aakhir kis cheez ki thi talab, kuch samajh nahi aaya

Giraftaar-e-balaa the, ya khush te apni qazaa se
halath banaai thi aisi ajab, kuch samajh nahi aaya

Zindagi ka safar to tanha hi basar hua lekin
maiyyat main kyon shareek the sab, kuch samajh nahi aaya

 Zeenu

Meri jaan-e-jigar, ab meri nazar ke saamne hai
Meri laqt-e-jigar, ab meri nazar ke saamne hai

Jiske deedar ki hasrat mein mai kabse tha bechain
woh shaam-o-sahar, ab meri nazar ke saamne hai

Jis raah par chalne ki sadiyon se thi aarzoo-ein
aisi hi raah-guzar, ab meri nazar ke saamne hai

Log milte hai bichad jaate hai zindagi ki raahon par
zaar-e-humsafar, ab meri nazar ke saamne hai

Kya chand? kya suraj? kya taaron ki kashish?
kehkashaan-aftaab-o-qamar, ab meri nazar ke saamne hai

sadaa arsh par pahunch gayi, abh khudko kyon tanha kahoon?
meri duaon ka asar, ab meri nazar ke saamne hai

Woh gulshan-e-baagh-o-bahaar bhulaaon kaise
woh nikhat-e-zulf-e-nigaar… bhulaaon kaise

Woh raat ke sannaton mai taroon ko taakna
woh dard-e-dil-e-bimaar… bhulaaon kaise

Woh jo uski gali se guzar aati thi aksar
woh baad-e-sabaa beqaraaar… bhulaaon kaise

Woh intezaar mein kaata hua ek ek lamha
woh dard-e-jaan-e-zaar… bhulaaon kaise

Woh dil ki dhadkano ka ruk ruk ke chalna
woh saans-e-sogavaar… bhulaaon kaise

Woh jo bhari mehfil mai bhi tanha dikhaai de
woh mehboob-e-jaan-nisaar…bhulaaon kaise

Huzoor jabh se aap mera ehteraam karne lage
mere dushman bhi mujhse salaam karne lage

Hui hai jabse aapki nigaah-e-karam mujhpar
mehfilein mera zikar subah-shaam karne lage

Pehle jo guzarte bhi nahi the meri gali se
woh meri chaukat par khiyaam karne lage

Zyada na karein yoon inaayat-e-karam mujhpar
ke log bewajah aapko bhi badnaam karne lage

Kaise kehdoon ke main aaj bhi khada hoon tanha
hamare charche log shaher-tamaam karne lage

Yeh zaroori to nahi ke jeene ka koi sahaara ho
yeh zaroori to nahi ke hum jiske ho woh hamaara ho

Safina mohabbat ka gar doob jaaye to gham na karo
yeh zaroori to nahi ke har kashti ka kinaara ho

Himmat na haaro tum kabhi apni kisi nakaami par
yeh zaroori to nahi ke har haadsa phir dubaara ho

Jo shaqs pahunch jaaye aasmaan ki bulandiyon par
yeh zaroori to nahi ke woh asmaan ka sitaara ho

Kal jis apne ko tum chodh gaye the tanha
yeh zaroori to nahi ke aaj bhi woh tumhaara ho

Haaton par jo likha ho woh muqqadar nahi hota
mehnat na karo to kuch bhi mayassar nahi hota

Pehle amaal se bana apni duaon ko pur-asar
phir dekh kaise apni duaon ka asar nahi hota

Jo saath na de sake kabhi gham-e-dauraan
woh shaks kabhi kisika humsafar nahi hota

Aisi mehfil hi nahi abh is shaher mein
jahan subah shaam tera zikar nahi hota

Koi shikwa hi nahi mujhe apne tanha pan se
har saath chod dene waala sitamgar nahi hota

Zindagi jo mujhe muddaton aazmaati rahi
har lamha meri mushkilon ko badhaati rahi

Jeene ko to main yoon hi zindagi jeeta raha
main saans leta raha, woh karam farmaati rahi

Musibaton ka hans kar maine saamna jo kiya
woh mujhpar aur bhi musibatein dhaati rahi

Main uski nawazishon par muskuraata raha
aur woh tanzia mujhpar muskuraati rahi

Zindagi jeene ka saleekha na aaya mujhe
shayed isi liye woh mujhe sataati rahi

Ab to baakhi na rahi kisi cheez ki talab
des parades woh mujhe itna phiraati rahi

Kisko rafeeq samjhoon aur kisko raqeeb
apni parchai se bhi mujhe daraati rahi

Bhari mehfil mein khud ko mehsoos kiya tanha
mujhe har lamha yeh kiski yaad aati rahi

Yoon khadam ladkhadaate, to lutf aa jaata
woh nigaahon se pilaate, to lutf aa jaata

Yeh aur baat hai ke fiza hui meharbaan
woh khud naqaab uthaate, to lutf aa jaata

Haskar kiya unhone saari mehfil ko raushan
humein dekh kar muskuraate, to lutf aa jaata

Unke gesu ghanere, jo choom rahe the ruksaar ko
meri shaanon par lehraate, to lutf aa jaata

Na jaane kis raaste woh pahunch gaye wahan tak
meri rehguzar se jaate, to lutf aa jaata

Kaise kahenge hum, hai hamaari gazal mukammal
hum khud unhe sunaate, to lutf aa jaata

Har parwaana jalta hai, aur phir yeh kehta hai
thoda aur hume jalaate, to lutf aa jaata

Ehsaas dilaaya unhone, aakhir hum hai tanha
maiyyat mai agar aate, to lutf aa jaata

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na
Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Jabh dekho yeh rona rotain, maike ku tum kam jaatain
Har mahina tum jaake maika, udhar dinaan-hafte jam jaatain
Wainch rehjao main tumko bolroun, yeh aana jaana nakko na

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Apne logon ku dekhle ko, tu-tadaak po aa gaye the
Poore logan milke mereku, kachcha chabako kha gaye the
Abh wapas ghar ku aate ich, yeh mitthe baatan nakko na

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Roz ka kaika sataana ji, abh jo hota hai so hone do
Thak thaka ke ghar ku aatoun, chain se mereku sone do
Khuda ke waaste bolderoun abh, yeh neend mai laatan nakko na

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Potte ku tum aisa bigaade, koi bhi baatan sunta nai
Subah khaako jo nikla to, aadhi raat tak dikhta nai
Kitta samjhaya tha mai tumko, yeh gulaabi laadaan nakko na

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Kya karte ki tumhaare logan, jo tum unpe itta marte so
Ghar ka samaan bech ko poora, un logon kuich bharte so
Abh aage se mai kuch nai karta, yeh bekar ke badaan nakko na

Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na
Nakko na nakko na, yeh aundhe kaaman nakko na

Khud ko kitna jala liya maine
yeh dil kahan laga liya maine

Dard jitne is dil main hain
hansi main chupa liya maine

Jo mere kabhi ho na sake
unko apna bana liya maine

Sirf unse nazar milaakar bhi
sabse nazar bacha liya maine

Behte aansoo ko moti kehkar
ashkon ko khoob saja liya maine

Aaj ho gaya main phir se tanha
unko nahi, khud ko aazma liya maine

Har baat samjhe bina hum takraar kyon karen
ek doosre ko sharminda sar-e-bazaar kyon karen

Bahut minnaton se bana tha mohabbat ka yeh mahal
yoon takraar se pa-maal iski dar-o-deewar kyon karen

Hai ek doosre ki inayaten, ek doosre par bahut
har chote-bade ehsaan ka abh izhaar kyon karen

Kuch dil jalon ko hota hai dard bahut hi azeez
apni khushi ke liye mahaul khush-gawaar kyon karen

Khush hai agar che woh apni madhoshi mai bahut
phir asliyat bayaan karke usko bedaar kyon karen

Hai mohabbat ka aala muqaam khuda ki nazar mai bhi
shikwon se phir mohabbat ko gunhagaar kyon karen

Uski tajalli se hai agar raakh ho jaane ka dar
sar-e-toor jaakar phir uska deedar kyon karen

(Toor ke pahad par moosa(AS) ne khuda se deedar ki zid ki thi..
aur ek hi jhalak se moosa(AS)  behosh ho gaye aur saara toor raakh ho gaya)

Mubtela is rog mai sirf tum hi nahi tanha
phir sonch kar itna, dil ko beemar kyon karen

Tere bazm mai aa jaaon to qaraar aa jaaye
meri veraan duniya mai bhi bahaar aa jaaye

Nazar to uthti hai par deedar ki himmat nahi
darta hoon ke meri kismat ko nikhaar aa jaaye

Mujhse lillah na cheeno mere hosh-o-hawaas
aise na dekho ke mujhko khumaar aa jaaye

Baad-e-bahaar khiza ka aana laazim kyon hai
phir kabhi na ujhde aisi nau-bahaar aa jaaye

Jabh reh jaana hai tanha inhi raahon par
phir kyon kar mujhe kisi par pyaar aa jaaye

Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi

Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
varna duniya bhar ki dosti dekhi

Unhi se milne ka mujhe armaan kyon hai??
woh ghair nahi hai to phir anjaan kyon hai??

Ek bheed si lagi rehti hai armaanon ki mere dil main…
na jane yeh dil-e-tabah veraan kyon hai??

Sunte aaye hai ke waqt har dard bhula deta hai…
lekin yeh dard mera dard-e-javedan kyon hai??

Laakh koshish ki unko bhulane ki magar…
saath unki yaadon ka aashiyan kyon hai??

Kitna samjhata hoon main is nadaan dil ko…
hairaan hoon ke dil, dil-e-nadaan kyon hai??

Woh muskurate hain jaise kuch hua nahi na ho..
koi unse pooche hansi pashemaan kyon hai??

Woh lakh chupate hain apni takleef lekin
unki har aah khud dard-e-bayaan kyon hai??

Ankhon se to chalakti hai mohabbat harwaqt..
dikhane ko hamain yeh fuGaan kyon hai??

Kehne ko to humse pyar bahut hai lekin…
Unki chahat is khadar bad-Gumaan kyon hai??

Humne to sirf unse mohabbat hi ki thi…..
Dil-o-jigar par dard ke nishaan kyon hai??

Duniya ko  dekha apne ghar basate humne..
hamaare liye aansoon ka qarinaan kyon hai??

Meri gazlon ka chahe kuch bhi ho sabab
har gazal ka yahi unvaan kyon hai??

Ibadat to khuda ki karta hoon har hardam
sajde ko unhi ka asthaan kyon hai??

Choota nahi ummid ka daman abhi dil se..
phir is khadar dil pareshan kyon hai??

Iqraar to dono ne milkar kiya tha tanha..
Aaj unka humpar yeh ehsaan kyon hai??

Woh hame gham ke nazraane diye jaate hain
aur hum usi gham ke sahaare jiye jaate hain

Zindagi main abh ek nasha sa ubhar aaya hai
hum sharaab ki tarah aansoo ko piye jaate hain

Ek woh hai ke hamaara koi zikar hi nahi
ek ham hai ke unka naam liye jaate hain

Khuda kaun hai, kaisa hai, kahan hai aakhir
kuch pata nahi humko, sajda kiye jaate hain

Zindagi jabh tanha guzarna ho jaaye mushkil
log jeena nahi chahte….magar jiye jaate hain

Muqtassar si baat ko ghumaate kyon ho
tum har baat humse chupaate kyon ho

Hum zamaane ki nigahon se dara karte  hai
tum zamaane ki tarah daraate kyon ho

Zindagi jabh qayamath si sazaa deti hai
tum zindagi se zyada sataate kyon ho

Zamaana apne jigar ko pilaata hai lahu
tum har dam isse ashq pilaate kyon ho

Jis baat se pairon tale zameen hil jaaye
us baat ko massarath se sunaate kyon ho

Jin logon ne har qadam par thukraya hai tumhe
un logon ke liye khoon-pasina bahaate kyon ho

Abh jo bhi karna hai tumhe karna hai 'tanha'
phir is qadar sonchkar dil jalaate kyon ho

Parde mai rahe aftaab, achcha nahi hota
aashiq se kare hijaab, achcha nahi hota

Paane ki hai agar aarzo to justajoo bhi rakho
sirf dekha karen khwaab, achcha nahi hota

Mehnath aur mashaqqat se badal jaati hai taqdeer
yeh kehna ke kismat hai kharaab, achcha nahi hota

Hamein daulat se zyada mohabbat hai azeez
lein paise paise ka hisaab, achcha nahi hota

Daaman mein kaante, ubhaarte hai shaksiyat ko
rahe chaaro taraf gulaab, achcha nahi hota

Taleem to paa chuke, abh kirdaar ko sanvaaro
dein buzrugon ku jawaab, achcha nahi hota

Yeh maana ke yahaan har kisi ke din aate hai
kehna ke aapke din hai janaab, achcha nahi hota

Chehre pe buzrugi danishmandi ka sabab hai
yoon baalon par khizaab, achcha nahi hota

Reh jaaoge tanha yoon hi agar chalte rahe
har daur main inqilaab, achcha nahi hota

Dard-e-dil ko mere woh dil ki dhadkan samjhe
chichora goad mai chad gaya to ladakpan samjhe

Le gaya jabh unku necklace road ghumaane ku
chaaro taraf haryaali dekh ko, london samjhe

Door se jabh dikhaaya apne ghar ka pichwaada
unhu khabrastaan ku mehakta gulshan samjhe

Dekh ke unki nakti naak aur tirchi nigaahain
mohalle ke shaane, raveena tendon samjhe

Apni mummy se milaane jabh le gaya unku
aai le qismat, mummy unku samdhan samjhe

Jabh dabaaye zor se meri tang andhere mai
main samajh gaya unhu raan ku gardan samjhe

This one is for my hyderabadi friends….enjoy in pure hyderabadi style…;)

Inhu dekhe to aisich hai
potte dekhe to waisich hai
poore khaandaan ku dekhlo
sab logan kaise-kich hai
khandaani logan sudharte nai
inhu kisi ki sunte nai

Ek bhai poora gunda hai
pachchis inch ka munda hai
uski tareef mai boltain
kitta handsome launda hai
tareef karte katraate nai
inhu kisi ki sunte nai

Saari duniya ku taane
apni galti kabh maane
inki nazar main sabh haule
khaali inhu-ich shaane
safed jhoot se mukarte nai
inhu kisi ki sunte nai

Achcha hua to baap ka naam
bura hua to maa badnaam
woich pukaara subo shaam
poore logon main taam taam
badnaami se darte nai
inhu kisi ki sunte nai

Ghar mai mittha kam khaatain
rookha sookha hum khaatain
dawaton mai jab bhi jaatain
dastarkhan po jam jaatain
sugar, BP kam karte nai
inhu kisi ki sunte nai

Jabse retire hue palang po hai
rozana ek naye rang po hai
baaton se to aisa dikhta
jaise miyan jang po hai
ujaad palang se utarte nai
inhu kisi ki sunte nai

Abh tum ich bolo kya karna ji
roz roz ka kaika ladna ji
police ki dhamki pe bole
mai police se kabh darna ji
tum bhokte tanha katarte nai
inhu kisi ki sunte nai

Milegi jabh tumhaari nazar unki nazar se
dhona padega haath tumhe, apne jigar se

Aayega jabh khayaal izhaar-e-mohabbat ka
darr jaoge kahin gir na jao, unki nazar se

Din to guzar jaayega khayaalon mai unhi ke
par raat ko karoge baaten, taaron se badar se

Halat kuch aisi ho jaayegi josh-e-junoon mai
lagoge jaise thake-maande, aaye ho safar se

Gham-e-hasti ka bhi tumhe hosh na hoga
kabhi ladkhadaoge, kabhi takraaoge bashar se

Jabh bhi jamaa hogi chand yaaro ki mehfil
noorani ho jaayega chehra, ek unke zikar se

Dil kahega tumhe kardo tum elaan-e-mohabbat
sonch kehegi.. ruk jao, tum kaam lo sabar se

Ek din achaanak jabh aayega tumhe hosh
koi aayega lejaane unhe, na-jaane kidhar se

Ishq chupta nahi kabhi zamaane ki nigaah se
hansega jahaan tumpar, tum guzroge jidhar se

Reh jaoge tum phir kuch is khadar 'Tanha'
guzar nahi paaoge kabhi, unki raah-guzar se

Poochte ho to suno kaun hoon main           
chand simte hue ashaar hoon main 

Sirf tareef se yahan kuch nahi hota
aapki duaon ka talabgaar hoon main

Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh
log kehte hai dil-e-beemar hoon main

Bolun agar khara to hoon shamsheer
aur agar likh daalon to talvaar hoon main

Tareef karne par agar utar aaon kabhi
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main

Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main

Lafzon se yun  khelna sabko nahi aata
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main

Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main

Paida karo aulaad to aala parvarish ka saamaan bano
raqib to jahaan hota hai, tum dost bano raazdaan bano

Kabhi simat aao zameen par unki hansi ke liye
to kabhi khushi ke liye ooncha aasmaan bano

Kabhi chand bano to kabhi banjao suraj
kabhi falak main chamakta kehkashaan bano

Simet lao dono jahan ki khusiyan unke liye
koshish karo ke tum khud do-jahaan bano

Andhere unki zindagi main na kabhi aane paaye
raushni de unko hardam, woh raushan-daan bano

Deen-o-duniya mai rakho unko baraabar ke shareek
rehbar bano aur kabhi khuda ka farmaan bano 

Kaise karoge yeh sab is haal main 'Tanha'
laazmi hai ke tum khud pehle insaan bano

Math poocho ke humne kya khwaab dekha hai
tumhe umr bhar tadpaayega, woh azaab dekha hai

Tum kehte the musalsal ke hum kisi khabil hi nahi
dekhne waalon ne hum main ek aftaab dekha hai

Humpe yeh ilzaam tha ke hum bigde hue hai bahut
humne jinko bhi dekha hai, zyada kharaab dekha hai

Tumne parvarish to ki humaari kaanton mai bahut
un kaanton mai bhi humne ek gulaab dekha hai

Tum mehsoos nahi kar paaye jin aankon mai aansoo
un aankhon ko ashq bahaate, be-hisaab dekha hai

Humaare liye tumhaare paas kabhi waqt hi na tha
aur zamaane ko tumse hote dastiyaab dekha hai

Daava tha tumhaara ke kabhi gaye nahi maikhaane ko
tumhaari madhoshi mai hardam, sharaab dekha hai

Tumhe naaz tha kabhi jinpar khud se bhi zyada
aaj tumne aur humne unko be-naqaab dekha hai

Zamaane ki nazar mai rahoge tum danishvar hardam
humne 'Tanha' tumhe kis khadar be-hijaab dekha hai

Zameen par rehkar asmaan ki baat karte ho?
par kate hai, oonchi udaan ki baat karte ho?

Dil ke saath humne sabh kuch gawan diya apna
tum humse phir kis samaan ki baat karte ho?

Jabh bhi karte ho zikr mere apne shaher ka
lagta hai jaise shamshaan ki baat karte ho?

Koi nahi raha hamaara chahne waala wahan
yeh tum aaj kis khadardaan ki baat karte ho?

Ek arsa ho gaya hume baghawat par utar aaye
hum jaante nahi tum kis farmaan ki baat karte ho?

Jisko dunya daari se abh koi ulfat nahi rahi
tum usi se maal-o-jaan ki baat karte ho?

Chahiye tumko sirf che gaz zameen 'Tanha'
kyon hardam mahal aur makaan ki baat karte ho?

kya haqeqat hai  tu jaan le
aaj apne khuda ko pehchaan le

tu buton ko poojna chod de
unke aage jhukna chod de
gehri neend se jaag ke aa
khuda ki raah main bhaag ke aa
isse pehle ke der ho
tera jism zamin par dher ho
khuda ek hai yeh maan le
aaj apne khuda ko pehchaan le

zara khuda ke khahar ko yaad kar
na aakhirat is khadar tu barbaad kar
waada kiya tha kya?karta hai kya?
is faani duniya pe marta hai kya?
bahut kho chuka apne wajood main
abh khudko jhuka uske sajood main
imaan par marna hai yeh thaan le
aaj apne khuda ko pehchaan le

kaisi kaisi hastiyan khaak main mil gayi
badi badi bastiyan raakh main mil gayi
zameen-o-asmaan uski zaat se darte hai
aur hum insaan is baat se mukarte hai
paida karta hai woh aur fanaah karta hai
kyon jaante hue to yah gunaah karta hai
wahi aakha hai tu aaj yeh jaan le
aaj apne khuda ko pehchaan le

hum ibadat ke waadon par aaye hai
kufr ke badal iradon par chaye hai
isse pehle ke tu wapas laut jaaye
pata nahi kabh achanak faut aaye
der hogai to kuch nahi kar paayega
saara amaal-naama wahi dhar jaayega
tauba kar, maafi maang, har galti maan le
aaj apne khuda ko pechaan le

nawazish-e-khuda hai, tu ashraful maqlooqaat hai
saari kaayenat ki tere saamne kya aukaat hai
apni asliyat jahan se chupaata kyon hai
apna naam badalkar bataata kyon hai
arre nadaan, tu apni kismat par naaz kar
khuda ko khareeb kar aur parwaaz kar
fakr se 'Tanha' apna seena taan le
aaj apne khuda ko pechaan le

kya haqeqat hai  tu jaan le
aaj apne khuda ko pehchaan le

Zindagi ko aaj humain manaane do
daag jitne hai dil mein dikhaane do

Jeene ko to jiye zindagi khizar jitni
aur kehne ko zindagi mai afsaane do

Gham aur khushi zindagi ka hissa hain
mausikhi-e-zindagi ke hai yeh taraane do

Jinke beech hota hai gila-shikwa yahan
woh aksar hote hai dost puraane do

Bina bole hi woh keh jaate hai itna kuch
hum jaante hai woh rakhte hai nain, mastaane do

Yeh askh nahi hai, saagar hai khushi ke
aaj ashkhon ka dariya hume bahaane do

duaon ka khabool hona bhi ek nemat hai
doston ko hardam, duaon ke nazraane do

Andheron mai kaise jeeonga yahan 'Tanha'
raushni ke liye kamaskam, dil hi jalaane do

zindagi ho rahi hai basar tanha
qaafilaa saath hai safar tanha

khud apne saaye se chaunk jaate hai
umar guzri hai kuch is qadar tanha

raat bhar rulaate hai hame sannate
raat kaate hum kaise,kidhar tanha

din guzar jaata hai logon mai
raat hoti nahi basar tanha

humne darwaaze tak to dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha

raah-e-zindagi mai yaar milte rahe
phir bhi hum rahe umar bhar tanha

saare rishte sirf duniya tak hi hai
Jaana hai tumhe khuda ke dar 'tanha'

Aise zinda rehne se, mar jao to achcha hai
is zalim duniya se jald hi guzar jao to achcha hai

Aukhaat hi kya hai apni zamaane ke saamne
toot kar hasti, bikhar jao to achcha hai

Ab koi bhi intezaar nahi karta hamaara wahaan
shaam aane par, na ghar jao to achcha hai

Dil ki khalish to humsafar hai umar bhar
dariya-e-gham ke paar uthar jao to achcha hai

Takleef use bhi hogi hame is haal mai dekhkar
nazar padne se pehle, sanvar jao to achcha hai

Bahut jee chuke tum madhoshi mai 'Tanha'
abh jald se jald sudhar jao to achcha hai